Saawan ka mausam tha
Poonam ki raat thi
Poonam ki raat thi
Mein uske paas tha
Woh mere karib thi
Phir woh mere paas aayi
Aur thodi si ghabraayi
Jab maine uska haath pakada
Toh woh thodi si sharmaayi
Usne kaha aaj hum
Aise bandhan mein bandh jaaye
Jise duniya ki
Koi taakat na tod paaye
Woh mere karib thi
Phir woh mere paas aayi
Aur thodi si ghabraayi
Jab maine uska haath pakada
Toh woh thodi si sharmaayi
Usne kaha aaj hum
Aise bandhan mein bandh jaaye
Jise duniya ki
Koi taakat na tod paaye
Meri khushi ka andaaza
Lagana mushkil tha
Par iske aage jo hua
Woh batana bhi mushkil tha
Lagana mushkil tha
Par iske aage jo hua
Woh batana bhi mushkil tha
Usne mera haath
Haatho mein lekar kaha
Yeh toh janam janmo
Ka bandhan hai
Haatho mein lekar kaha
Yeh toh janam janmo
Ka bandhan hai
Phir mujhe yaad aaya
Woh Saawan ka mausam
Woh poonam ki raat
Yeh to Raksha Bandhan hai!
Woh Saawan ka mausam
Woh poonam ki raat
Yeh to Raksha Bandhan hai!
0 comments:
Post a Comment